samay nikal hi jata hai
bura ho to tal jata hai
achha ho to kat jata hai
samay jo hai nikal hi jata hai
ek pal me andhera hai iske
or fir dusre pal nai subh hai
lakho chehre hai iske
or har chehre ki nai zuban hai
sirf yaadon me rehna fitrat hai iski
or sirf bato me kaha jata hai
samay kesa bhi ho nikal jata hai
n rukta hai ye kisi ke liye
na hi kisi ko rukne deta hai
na hi pyara hai isko koi
or na hi khud se kisi ko mohbbat
karne deta hai
zindgi ke har mukam pr
logo ke asli rang dikhata hai
samay nikal hi jata hai
sab chalte hai iske sath ye
kiske liye nahi thehrata
samne chahe parmatma bhi ho ye
kisi ke aage nahi jhukta
ye har kadam pr tumhe
naye sabak sikhata hai
kon achha hai or kon bura hai
tumhare liye
har shaqs ka nakab hatata hai
moka deta hai sabko lekin
samay samay par hi nikal jata hai
na iska koi dharm hai
na iski koi zaat hai
isko lagav to nahi kisi se
par ye sabke sath hai
iradon afwaho se iska koi tallku nahi hai
jo ye kal tha ye aaj hai
or ye kal bhi wahi hai
tumhari koshisho se thamega nahi ye
ye band mutthi me ret ki tarah hai
tum ise chahe jitna samet lo
fisal hi jata hai
samay jo hai nikal hi jata hai
iski koi shakl nhi ye umr ke sath
hamare chehron me nazar aata hai
samay nikal hi jata hai......
अप्रतिम और अप्रकाशित By PRASHANT GURJAR
you can also follow me on -
Instagram - @prashant gurjar
Facebook - #blank voice
Youtube - Prashant gurjar
No comments:
Post a Comment