mujhe bs meri maa chahti hai
jise mujhe dekh kar sans me sans aati hai
mujhe bs meri maa chahti hai.....
jo mera chehra dekh kar
mere dil ka haal btati hai
fir pyar se mujhe apne paas bulati hai
mujhe bs meri maa chahti hai.....
me haar jata hu kai baar is duniya ki daud me
fir mujhme jitne ki aas jagati hai
mujhe bs meri maa chahti hai.....
jo mujhe dekh kar roti hai
or mujhe dekh kar hi muskurati hai
gamo ko mere ek chutki me bhulati hai
galti ho agar to kabhi - kabhi daant se rulati hai
daantne ke bad fir utne hi pyar se manati hai
or fir apni god me sulati hai
mujhe bs meri maa chahti hai.....
meri besuri zindgi me
har khushi har gam me
mere saaz se raag miltai hai.....
manzil ki raaho me dagmagau agar
to manzil tak pahuchne ka hosla diltai hai
mujhe bs meri maa chahti hai.....
is duniya me sab matlb se pyar krte hai mujhse
bs unhi ka pyar ye dharm ki kitaabe bhi ni-svarth btati hai
mujhe bs meri maa chahti hai.....
mushkilo me shi rasta dikhati hai
lad-khdaun agar to hath thaam leti hai
mujhe bs meri maa chahti hai.....
me soch me pad jata hu aksar
ki ye kyu mere liye itna kuch kar jati hi
fir sar par hath fer kar
me jaan hu uski is baat ka ehsas dilati hai
mujhe bs meri maa chahti hai.....
jisne di hai ye zindgi mujhe
or jo har dua me meri umar badhati hai
mujhe bs meri maa chahti hai.....
mujhe bs meri maa chahti hai.....
अप्रतिम और अप्रकाशित By PRASHANT GURJAR
अप्रतिम और अप्रकाशित By PRASHANT GURJAR
No comments:
Post a Comment